100 Glitter Mehndi Tiki Pics Designs Henna Tattoos Girls Hands 2022

  Admin      
Mehndi ko henna bhi kehntay hain aur ye hath ko decorate karnay ke toor parpichlay panch hazar saal se istmal ki ja rahi hai aur in 5 hazar salon ke doran ye mukhtaliq tehzeebon se hoti hoi ab is modern zamana main pohanch chuki hai. Indian aur Pakistani culture main mehndi ka rawaj aik lazmi hisa ban chuka hai weddings main. Pakistan main ab arabic mehndi designs kafi pasand kiya janay laga hai. Is ke ilawa mehndi balon ko dye karnay ke liye bhi use hoti hai. yahan par khuch mehndi ki pics jama ki gayi hain aur neechay post ki ja rahi hain jin main bridal mehndi designs ke sath sath kids ke liye bhi designs mojod main. Agar aap ke paas henna/mehndi se mutaliq koi information hai aur aap share karna chahin tou nechay comments main share zaroor karain.
Mehndi ki rasm Pakistani shadiyon main na ho tou wedding adhuri si mehsos hoti hai. Aaj aap ke liye yahan par 15 se zayada henna designs images collect ki gayi hain jo ke sub latest pictures hain in main mehndi foot designs, tiki, hands aur khuch arabic styles bhi mojod hain. In mehndi wallpapers se aap ko ye andaza ho jaye ga ke aaj kal kis tarah ka design chal raha hai aur is ke ilaye aap ko asani bhi ho jaye gi mehndi ka design select karnay ke liye apne hathon ke liye. Chahe  bakra eid ho meethi eid ho ya phir chand raat ho ya koi party wagera functions ho ya aap ki apni marriage ka function ho tou yahan par dulhan ke hathon ki aur khubsurati barhane ke liye bhi kafi snaps mojod hain. Agar in designs ke ilawa aap aur bhi mehndi ki pictures dekhna chahain tou mehndi ke labels main se aap ko kids, bridal, simple, professional mehndi design ideas aur tips hasil ho sakti hain. Is ke ilawa yahan easy mehndi art ki bohat sari tasweerain bhi mil jayain gi.
Mehndi Stones, Gems, Gildings, Glitter Style Bridal Hand Picture
Mehndi lagana kisi art se kam nahin hai. Khawateen larkiyon bachiyon ke banao sanghar  main mehndi khasoosi ahmiyat ki hamil hai. Mehndi woh singhar hai jisay ham apne mazhbi tehwar religious festivals aur khaas taqreebat ke moqa par karna zaroori samajhtay hain. Aik door tha jub mehndi ke darakht tree se mehndai ke pattay leaves toor kar aur pees kar hands par mehndi lagayi jati thi. Us door main designing ka koi khaas tasawar na tha. diya salayi aur hair pin ke zariye naqsho nigar banaye jatay thay.
Agar aap is fun main maharat hasil karna chahti hain tou sub se pehle mehndi ko sheeshay mirror par lagana seekhain dulhan cone mehndi lay kar us se sheeshay par design banati jayain, Sheeshay ko kisi mehndi design par rakh kar mehndi laganay ki mashq exercise karain.
Mehndi ke bohat saray tibi fawayed hain. Jin logon ki hatheeliyon aur hathon par paseena ata hai unhain chahiye ke mehndi ke pattay pees kar unhain hathon pairon aur sar par laga liya karain, is se jism main thandak ka ehsas paida hota hai.Mehndi ka musalsal use hands aur feet ki jalan ko door kar deta hai magar shart ye hai ke mehndi leaf pees kar mehndi banayi jaye. Mehndi ka istmal shadi, biyah mazhbi tehwaron jese bari eid ul azha aur choti eid yani eid ul fitr aur special events ke moqa par behad zaroori hai, Dulhan ki araesh sajawat mehndi ke bina adhori hai.
 Mehndi Patterns
  Indian Asian Mehndi Design 2022
 Colourful Mehndi Design Photos Amazing Professional Arabic Mehndi Desings
Mehndi Laganay Ke Asool Pehle Jaan Lain Phir Mehndi Lagayain: Mehndi lagane se pehle hath saban se achi tarah dho kar dry kar lain. Achi company ki cone mehndi use karain. bohat arsay ki rakhi kone mehndi kabhi istmal na karain. Mehndi ke uper koi cheez na lagayain. Aksar girls mehndi sookhnay par us ke uper cheeni ka pani, lemon, wix wagera lagati hain magar us se mehndi phailti hai aur usay laganay ka koi faeda bhi nahin hai.
Mehndi dry ho janay par hand wash kar ke khushk kar lain. Mehndi function se hamesha 2 rooz pehle lagayain kyoun keh mehndi ka colour 2 days ke baad nikhar kar samnay ata hai. Mehndi laganay ke baad hath dhonay se ahishta ahishta mehndi ki rangat nikharti hai.
logoblog

No comments:

Post a Comment